• Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "

    From Saqi@user19394@newsgrouper.org.invalid to alt.language.urdu.poetry on Thu May 21 09:17:27 2026
    From Newsgroup: alt.language.urdu.poetry


    a_rzoo@hotmail.com (arzoo) posted:

    Na qabil-e- faramosh


    Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay
    kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo
    foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan
    karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan
    hay? kaisa hay?
    paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey
    shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi
    sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka .

    thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi
    foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la
    parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay
    lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko
    ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon?

    waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon
    ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani
    kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain
    ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka
    ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan
    roshan karnay lagta.

    dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay
    palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith
    jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class
    main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho
    gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari
    pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi
    sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer
    hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi
    thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut
    bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur
    pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay
    apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay
    haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota
    . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko
    khair baad keh diya .

    College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah
    miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki
    bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi .
    imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters
    karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur
    saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay
    posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa
    poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ."
    jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina
    daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko
    garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di
    tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha
    kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida
    baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah
    jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay
    poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice"
    kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi
    yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya
    main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon
    ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon
    per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e-
    cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki
    Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon
    tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az
    kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon
    nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh
    martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say
    muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay
    poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay
    nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay
    to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya "
    haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay "
    Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand
    new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon
    hansnay lagin.

    chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki
    emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is
    dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey
    Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay
    halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay
    kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh
    rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay
    jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira
    asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ."
    tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata
    hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq
    nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher
    say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main
    aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha
    " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain
    phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay
    kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur
    wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi
    nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak
    daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi
    laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat
    tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi
    rahy gi.

    do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur
    phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey
    aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay
    phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi
    khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay
    baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko
    daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi
    daikhain to shaid sab bhool jain.

    Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main
    soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal
    hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli "
    haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi
    naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain ,
    mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay
    Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na
    soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay
    " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say
    kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah
    pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay
    liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair
    saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko
    samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay
    hoay hajyoon ki saf main shamil hoay.

    Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay
    rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon
    daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log
    kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay
    hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar
    kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki
    phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main
    " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey,
    bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander
    tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud
    apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to
    jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna
    bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf
    main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay
    shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay
    chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo
    behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh
    karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad
    kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir
    usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay
    ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi
    si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay
    rukan kay liyay samjhana parta .
    muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to
    yaad na rehta .

    tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe
    par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath
    Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya
    to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon
    nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay
    bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay
    khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon
    ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon
    saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa
    aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe
    dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar
    hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha "
    Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab
    ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo
    sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey.
    bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi .
    Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si
    baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki
    rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan
    Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay
    mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi
    hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather
    jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht
    aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko
    kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur
    kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay
    . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat
    kay is hissay main kia lutf ho ga?
    is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke
    jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say
    Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay ,
    aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko
    ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us
    taraf phainknay lagi.

    ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam
    hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay .
    Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka
    ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha
    shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik
    doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay .
    . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon
    ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay
    yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay
    apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni
    baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay
    ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko
    khushi say mehsoos kiya .

    masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta
    logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi
    chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka
    massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon.
    masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta
    bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki
    hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam
    tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz
    kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi
    aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o-
    salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil
    parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany
    lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say
    jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay
    ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon
    ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say
    nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay
    alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal
    tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey ..
    mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho.
    aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us
    ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar
    phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay
    yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish
    liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay
    saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti
    gaey ...
    madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan
    khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari
    hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath
    . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur
    dady kay saath Japan aa gaey.

    Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur
    dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat .
    Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath
    us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore
    diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan
    kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay
    posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay
    mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi
    rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha .
    aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan
    ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion
    na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali
    lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain
    gi.

    teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say
    bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main
    hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha
    banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar
    phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur
    halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki
    lakeer zaroor ho , amin.

    Ameen.
    --- Synchronet 3.22a-Linux NewsLink 1.2